Milaad Rahega Lyrics
Koi Gali Aisi Nahi Jo Na Saji Ho
Koi Bhi Ghar Aisa Nahi Jo Na Saja Ho
Mehfilen Durood Ki
Niaz Nabi Paak Ki
Sharbat Ki Sabeelen
Maula Ne Ata Ki
Milaad Rahega Milaad Rahega
Aaqa ki Muhabat Me
Ghar Baar Sajaey
Sarkar Ka Milaad Chalo Mil Ke Manaen
Jab talak dam me hai dam
Mujhe maula ki qasam
Meri nasalon me chalega
Yeh ruka hai na rukega
Sadae Durood ki aati rahengi
Jinhen sun ke dil shaad hota rahega
Khuda Ahle Sunnat Ko Abaad Rakhe
Muhammad ﷺ ka Milaad Hota Rahega
Aae mere mustafa
Marhaba Yaa Mustafa
Aaj Hai sab ki sadaa
Marhaba Yaa Mustafa
Badshah e do jahan
Marhaba Yaa Mustafa
Tum sa koi hai kahan
Marhaba Yaa Mustafa
Assalam ae jane jaan
Marhaba Yaa Mustafa
Keh rahe hain ins o jaan
Marhaba Yaa Mustafa
Sara zamana kahe
Aaj koi na rukhe
Saans chale ya ruke
Naara yeh lagta rahe
Chaar yaaron ki sada
Marhaba Yaa Mustafa
Ahle bait ne kaha
Marhaba Yaa Mustafa
Ghaus paak ne kaha
Marhaba Yaa Mustafa
Mere Raza ne kaha
Marhaba Yaa Mustafa
Mere Murshid ne kaha
Marhaba Yaa Mustafa
Gali Gali Nagar Nagar
Naara Lagega
Milaad Rahega Milaad rahega
Islam ka paigam sadaa zinda rahega
Sarkar tera naam sadaa zinda rahega
Jab tak rahengay duniya me ushaaq salaamat
Milaad ka ye kaam sadaa zinda rahega
Bachpan se me milaad manata hi raha hu
Ghar baar muhalle ko sajata hi raha hu
Me iss se judaa reh nahi sakta Mere yaaro
Sarkar ka parcham me lagata hi raha hu
Yaa Nabi Salaam Aleyk
Yaa Rasool Salaam Aleyk
Salawatullah Aleyk
Milaad ke sadqay se Ghulamo pe hai rahmat
Milaadiyo ki dekho jahan bhar me hai izzat
Qabaren khulin tou dekh ke hairaan hai science
Aaqa ke ghulamo ke tou chehray bhi salamat
Ho hind me khuwaja ke sabhi chahne waale
Yaa paak watan me mere data ke deewanay
Milaad tou har des me hota hi raha hai
Iss baar yeh jaega siraato se bhi aage
Bacho ko Muhammad ki ghulami ka batana
Aaqa ki muhabat inhe ghutti me pilana
Tum aal o sahaba ke fazail bhi suna kar
Aashiq bana rahe ho tou sunni hi banana
Milaad hai emaan mera kyun na manau
Mehfil Durood e Paak ki me kyun na sajau
Milaad ke munkir se mera kaisa taaluq
Rishta nabi ke pyaare ghulamo se nibhau
Namoos e sahaba ke alam daar rehengay
Azwaj e muqaddas ke namak khaar rahengay
Hum se na hongi beiaten dast e yazeed par
Hum aale Muhammad ke wafadar rahengay
Anwar ki barsaat hai rahmat ki jhari hai
Yeh aamina ke laal ke aane ki ghari hai
Sharbat ki sabeelay kahin sarkar ka Langar
Khaaengay Ujaagar ke yeh Milaad nabi hai
It's great that you like that. Likewise at the same time I think everyone can do it, so in this case I would like to mention this source https://rajbet-casino-bonus.in as this allows you to get an idea of a wider betting source. I have tried it several times and it seems very easy to use.
ReplyDelete